Shaik ke Adaab

⬆⬆ اوپر پیج پر کلک کریں اور لائیک کریں .. اس پوسٹ کو دوستوں کے ساتھ بھی شیئر کریں! 💚 صلی اللہ عليه وسلم 💚 ~ SHAIKH KI KHIDMAT ME HAZIRI KE ADAAB ~ Shaikh ya Peer-o-Murshid ki khidmat me hazir hoker Talib ko Aashiq ki tarah ya toh Peer ke Chehra-e-Anwar par nazar rkhni chahye yaa apne Pairon par Nigah rakh kar khade rahey-, Agar bithey rahe toh Sine par nazar rahke-, Ager Shaikh iski taraf dekhe toh apni nazare niche karle-, Peer ki Ankho se Ankhe na milaye-,Shikh se bajis Dua ke koi sawal na karna chahiye-, Shaikh ke saamne na doudh kar chalna chahiye na bohot ahista-, Shaikh ki khidmat me koi tohfa pesh karna ho toh nihayat adab ke saath pesh kare-, Shaikh ke samne hazir hoker zara-he tazeem apna sarr zameen per iss tarah rakhna chahiye ke Amaama(ya topi) ka pohonch zameen par tik jaye pesahani zameen par na lagey-, Hazrat Shaikh Chiraghuddin Qudassirah ke Huzur me iss tarah kiya jata tha-, Wapsi me shaikh ki taraf Pushth na karni chahiye-, Jiss tarah Dil Shaikh ki taraf mutawajo hai Chehra bhi Mutawajo rehna chahiye-, Shaikh ke samne bith kar idhar udhar taakna ghadi ghadi uthna bithna be-adabi hai-, Shaikh ki majlis se bagair zaruri kaam ke baher nahi jana chahiye-, Jub shaikh uthey mureed ko uthjana chahiye-, Shaikh ke saamne Wungna nihayat bura hai-, Agar neend ka galba hoto alahida kisi goshe me sojaye-, Shaikh ke samne wazifa padhe, Ya tilawat kare aor naa Shaikh ko tanha chor ker Nafil padhne ke liye jana chahiye-, Amoore Bashari me Shaikh ko apne misaal tasawur karna chahiye lekin Amoore Khudawandi me Shaikh ko Misaal-e-paigambar maan na chahiye-, Mureed ko lazim hai ke Peer ko Shajr Moosa tasawur kare-, Hazrat Moosa(AS) ne darakht se kalam suna tha-, Mureed ko chahiye ke Shaikh ka kalam ko sune aor isko Muhaal tasawur na karey-, Jub banda Nawafil se mera khurb hasil karta hai toh mere saath sunta hai, Mere saath Bolta hai, Mere saath dekhta hai (Hadees) – Aqal wale ke liye isme ishara kafi hai-. Buzurgon ka Qoul hai ke Mukham-e-wilayat me Gunah Marajiat ke daleel hai-, Aor mukham-e-Mohabbat me Nafs Mohabbat ki Aor, Mukham-e-Marifat me Kamale Marifat ki daleel hai-, Shaikh Aarif Hai Aor Aarif ka nafs bhi Aarif hota hai-, Nafs jub Irfaan ke maidan me Jolani karta hai iss waqt iss ki bandish mushkil hojati hai-. Peer ke martabe ko samjhna bohot bada kaam hai-, kamazkam itna aitekhad zaroor rakhna chahiye ke Peer jo kuch karte hai Qudah ke hukum se karte hai-, Peer badhkar koi wali nahi hai aor agar apne peer ke peer bhi moujudh hotoh tab bhi yahi samjhna chahiye ke mujh ko jo faiz apne peer se phonch sakta hai wo Peer ke Peer se nahi pohonch sakta-, (iss se peer ki azmat ka hame andaza lagani chahiye). Ek dafa Huzur Sarware Alam (SAW) ne Maaz(RZ) se deryaft farmaya-, Aye Maaz tum Raat ko kya karte ho-, Arz kia Yaa Rasool Allah raat ki ek chotahi me Huzur per durood padhta hu aor bakhi tamam shab khudah ki ibadat karta hu-, Huzur (SAW) ne farmaya -, ‘Maaz tum se hosake toh Duroodh zyada padha karo-, Chand roz baar Huzur ne deryaft farmaya-,Ab tum raat ko kya karte ho-,Maaz (RZ) jawab dia ke ab doa tihayi hissa shab me huzur (SAW) par duroodh padh ta hu aor ek thihai me ibadat karta hu-, farmaya ke tum theek karte ho youhi kiya karo-, (Hadees)-, Iss hadees se ye sabakh milta hai ke, Huzur (SAW) ne kyon ibadat se roka aor durood shareef pdhne ka hukum diya-, isme hikmat ye thi ke Huzur jaante they ke Maaz Qudah-raast manzil tai nahi karsakta agar mujhiko wasila wasta banaye ga juld manzil par pohonch jayega-, Yahi muamla Peer Mureed ka qayas karni chahiye-. (Azkitab Rooh-E-Tasawuff safa no. 138-140) Facebook page... https://www.facebook.com/paigamemarifat/ Website... http://Paigamemarifat.blogspot.com/ (Talab-e-Dua Admin Muhammad Sohail Ali Qadri)

Comments

Popular posts from this blog

Allah hoo